
Abhi Mujh Mein Kahin Song Lyrics. Abhi Mujh Mein Kahin Song is from the Bollywood film Agneepath. The song is sung by Sonu Nigam and lyrics are penned by Amitabh Bhattacharya. Music is given by Ajay Atul and the main cast in the song are Hrithik Roshan and Priyanka Chopra.
Song | Abhi Mujh Mein Kahin |
---|---|
Movie | Agneepath (2012) |
Singer | Sonu Nigam |
Lyrics | Amitabh Bhattacharya |
Music | Ajay-Atul |
Music Label | Sony Music India |
Abhi Mujh Mein Kahin Song Lyrics
Abhi mujh mein kahin
Baaki thodi si hai zindagi
Jagi dhadkan nayi
Jaana zinda hoon main to abhi
Kuch aisi lagan is lamhe mein hai
Ye lamha kahan tha mera
Ab hai saamne, isse chhu loon zara
Mar jaaun ya jee loon zara?
Khushiyan choom loon, ya ro loon zara?
Mar jaaun ya jee loon zara
Ho, abhi mujh mein kahin
Baaki thodi si hai zindagi
Ho dhoop mein jalte huye tan ko chhaya ped ki mil gayi
Roothe bacche ki hansi jaise fuslaane se phir khil gay
Kuch aisa hi ab mehsoos dil ko ho raha hai
Barson ke puraane zakhm pe marham laga sa hai
Kuchh aisa reham is lamhe mein hai
Ye lamha kahan tha mera
Ab hai saamne, isse chhu loon zara
Mar jaaun ya jee loon zara?
Khushiyan choom loon, ya ro loon zara?
Mar jaaun ya jee loon zara
Dor se tooti patang jaisi thi ye zindgaani meri
Aaj hoon kal ho mera na ho, har din thi kahani meri
Ek bandhan naya peeche se ab mujhko bulaaye
Aane waale kal ki kyun fikar mujhko sataa jaaye
Ek aisi chubhan is lamhe mein hai
Ye lamha kahan tha mera
Ab hai saamne, isse chhu loon zara
Mar jaaun ya jee loon zara?
Khushiyan choom loon, yya ro loon zara?
Mar jaaun ya jee loon zara
More Songs